गाय के घी के फ़ायदे और स्वास्थ लाभ

Gaay (Cow) Ke Ghee Fayde Gun Aur Swasth Labh

DesiCowGhee

 

Gaay ka dudh jitna paushtik hota hai usse kai jyada takatvar gaay ka ghee hota hai. Bharat me gaay ko prachin samay se hi puja jata raha hai jiska apna dharmik mahatv hai, gaay ke ghee me kai tarah ke gambhir aur khatarnak rogo ko thik karne ki kshamta (ability) hoti hai. Is baat ko medical science ki research me bhi sabit kiya ja chuka hai. Desi gaay ke ghee me maujud tatv sidhe apki sehat par achhe prabhav dalte hai.

Gaay Ke Ghee Ke Fayde

  • Naak (nose) me gaay ka ghee dalne se allergy khatm ho jati hai.
  • Gaay ke ghee se talvo ki malish karne se hath (hands) aur panv (foot) me ho rahi jalan khatm ho jati hai.
  • Roj gay (cow) ke ghee ka sevan karne se kabj aur acidity ki paresani apko kabhi nahi hogi.
  • Chhote baccho me cough ki samasya ho rahi ho to gaay ke ghee se bacche ki pithh (back) aur chhati (chest) me malish kare. Baccho ko labh milega.
  • Gaay ke ghee ka sewan karne se insan ki mansik aur sharirik kshamta (mental and physical ability) badti hai.
  • Sharir me kamjori mehsus ho rahi ho to aap 1 chammach gaay ka ghee aur misri ko ek glass dudh me milakar uska sewan kare.
  • Gaay ka ghee cancer ko paida hone aur badne se rokta hai.Stan cancer (breast cancer) aur aant ke cancer se gaay ka ghee hi apko bacha sakta hai.
  • Migraine ke dard se nijat pane le liye gaay ke ghee ki 2 bunde naak (nose) me subah shaam dale.
  • Gaay ka ghee vajan (weight) kam karta hai kyonki iske sewan se cholesterol nahi badhta hai.
  • Ankho ki jyoti (eye sight) badane ke liye 1/4 chammach pisikali mirch, 1 chammach gud (jaggery) aur 1 chammach desi ghee ko milakar subah khali pet aur raat ko sone se pehle chaate aur baad me garm dudh ka sewan kare.
  • Vaat rog (gas), pitt rog aur cough ko santulit karne ke liye gaay ke ghee ki kuchh bunde din me 3 baar naak (nose) me dale.
  • Desi gaay ke ghee ko fafolo (blisters) par lagane se aaram milta hai.
  • Lakva rog (paralysis) ka upchar bhi gaay ke ghee ke sewan se sambhav hai.
  • Chhilka rahit pisa hua kala chana, ghee aur gud (jaggery) in teeno ko barabar matra me milakar laddu bana le aur subah khali pet ek laddu ko khoob chaba-chabakar khaye aur baad me 1 glass gunguna dudh aram se piye. Aisa karne se mahilayo me hone wala pradar rog (leucorrhoea) thhik hota hai. Purusho ke liye bhi yeh faydemand hai, isse sharir takatvar aur sudaul banta hai.
  • Kaan (ear) ki har samasya ko dur karne ke liye rojana naak me gaay ke ghee ki 2 bunde dale. (Naak aur kaan bhitar se jude huye hote hai.)
  • Saanp (snake) ke katne par 100 gm desi ghee pilaye aur uske baad gunguna pani pila de. Aisa karne se dast aur ulti lagti hai aur ssanp ka jahar (poison) dhire-dhire kam hone lagta hai.
  • Gaay ke ghee ka rojana sewan karne se insan kabhi bimar nahi padta.

 

GauMaata_MB

Gaay (Cow) Ke Ghee Fayde Gun Aur Swasth Labh

Scroll to Top