गाय के दूध (काऊ मिल्क) के फायदे

Gaay Ke Dudh (Cow Milk) Ke Fayde

DesiCowMilk -1

 

Gaay (cow) ko vedic samay se hi mahatv diya gaya hai, gaay ka dudh behad paushtik aur sehat vardhak hota hai. Manav ki buddhi ke vikas me gaay ka dudh behad aham hota hai. Haal hi me huye sodh me yeh baat samne ai hai ki indian gaay ke dudh me milne wale protein se heart attack, madhumeh (diabetes)aur mansik rog (mental diseases) ko thik karne me aham mana jata hai. New research ke anusar indian cows me sun glands hoti hai jo unke milk ko medicine me badal deti hai.

Gaay ke dudh ka asar unke color ke anusar bhi hota hai. Gaay ka dudh buffalo ke dudh ki tulna me behad halka hota hai, isliye chhote bachho ko gaay ka dudh jaldi pach jata hai. Laal rang ki gaay ke dudh ke sevan se body energy adhik ati hai aur khoon ki kami dur hoti hai.

Safed gaay (white cow) ke dudh ke sevan se body ka digestive system thik hota hai aur body powerful hoti hai. Black cow ka dudh bhi bahut faydemand hota hai. Yeh pet ki gas sambandhi bimariyo se bachata hai. Chitkabri color ki gaay ke dudh ke sevan se mental diseases dur hoti hai.

Bimariyo Me Gaay Ke Dudh Ke Fayde (Benefit Of Cow Milk For Several Diseases)

Stomach Cancer aur Tumor Ka Khatra Kam Karta Hai

New research se pata chala hai ki asia me gastric cancer se prabhavit rogiyo ki sankhya badti hi ja rahi hai. Aise me gaay ka dudh ek important medicine ka kaam karta hai. Researcher ke anusar colon cancer yani stomach cancer ko shuruati daur me rokne ke liye gaay ka dudh behad faydemand hota hai. Yeh cancer ke cells se hone wale khatre ko kam kar deta hai aur tumor ko badhane wale prabhav ko kam kar deta hai.

Mental Improvement Me Faydemand Hota Hai

New research me yeh baat samne ai hai ki gaay ke dudh me A1 gene paya jata hai. Yeh gene dimag ke vikas ke liye kafi important hota hai.

Body Ko Kare Majbut

Gaay ke dudh ka color thoda peela hota hai, iski vajah hai gaay me payi jane wali sun glands. Yeh hamari body ko majbut banata hai aur intestine ki bimariyo me labh deta hai.

Swine Flu Se Bachaye

Researchers ke anusar gaay ke pahle dudh me H1N1 virus se ladne ki shakti hoti hai. Gaay ke dudh se ban rahi antibiotics se swine flu ke virus ko khatm kiya ja sakta hai.

Gaay ka dudh sehat aur saundarya ke liye behad faydemand hota hai. Isliye aap apne khane me gaay ke dudh ka istemal jarur kare.

 

GauMaata_MB

Gaay Ke Dudh (Cow Milk) Ke Fayde

Scroll to Top